اردو हिंदी
Silan | Shaahi Shayari
silan

Nazm

Silan

Gulzar

;

bas ek hi sur mein, ek hi lai pe subh se dekh
dekh kaise baras raha hai udas pani

phuwar ke malmalin dupaTTe se uD rahe hain
tamam mausam Tapak raha hai

palak palak ris rahi hai ye kaenat sari
har ek shai bhig bhig kar dekh kaisi bojhal si ho gai hai

dimagh ki gili gili sochon se
bhigi bhigi udas yaaden Tapak rahi hain

thake thake se badan mein bas dhire dhire
sanson ka garm loban jal raha hai