meri ragon mein chahakte hue lahu ko suno
hazaron lakhon sitaron ne saz chheDa hai
har ek bund mein aafaq gungunate hain
ye sharq o gharb shumal o junub past o buland
lahu mein gharq hain aur shash-jahat ka aahang
zamin ki peng tulu-e-nujum-o-shams-o-qamar
ghurub-e-sham zawal-e-shab o numud-e-sahar
tamam aalam-e-ranai bazm-e-barnai
kanwal ki tarah khile hain lahu ki jhilon mein
hai kaenat mere dil ki dhaDkanon mein asir
main ek zarra bisat-e-nizam-e-shamsi par
main ek nuqta sar-e-kaenat-e-wahm-o-shuur
ek qatra anal-bahr hai sada meri
main kaenat mein tanha hun aaftab ki tarah
mere lahu mein rawan wed bhi hain quran bhi
shajar hajar bhi hain sahra bhi hain gulistan bhi
ki main hun waris-e-tariKH-e-asr-e-insani
qadam qadam pe jahannam qadam qadam pe bahisht
Nazm
Shuur
Ali Sardar Jafri