suraj ne diya apni shuaon ko ye paigham
duniya hai ajab chiz kabhi subh kabhi sham
muddat se tum aawara ho pahna-e-faza mein
baDhti hi chali jati hai be-mehri-e-ayyam
ne ret ke zarron pe chamakne mein hai rahat
ne misl-e-saba tauf-e-gul-o-lala mein aaram
phir mere tajalli-kada-e-dil mein sama jao
chhoDo chamanistan o bayaban o dar-o-baam
Nazm
Shua-e-ummid
Allama Iqbal