tira-o-tar fazaon mein sitam-KHurda bashar
aur kuchh der ujale ke liye tarsega
aur kuchh der uThega dil-e-giti se dhuan
aur kuchh der fazaon se lahu barsega
aur phir ahmarin honTon ke tabassum ki tarah
raat ke chaak se phuTegi shuaon ki lakir
aur jamhur ke bedar taawun ke tufail
KHatm ho jaegi insan ke lahu ki taqtir
aur kuchh der bhaTak le mere darmanda nadim
aur kuchh din abhi zahrab ke saghar pi le
nur-afshan chali aati hai urus-e-farda
haal tarik-o-sam-afshan sahi lekin ji le
Nazm
Shua-e-farda
Sahir Ludhianvi