اردو हिंदी
Shortcut | Shaahi Shayari
shortcut

Nazm

Shortcut

Syed Mubarak Shah

;

hujum hai
ki aag ke pahaD se gira hua alaw hai

koi nahin jo kah sake
ki ek pal ko Thahr kar batao to

kahan chale ho, kis taraf
hujum kya hai

be-shumar muntashir akele-pan ki bhiD hai
jo aap apni aahaTon ke Dar se laDkhaDa gai

ghubar-e-naqsh-e-pa uTha
to jam gaya ghilaf-e-chashm-o-gosh par

ye qafila bhaTak raha hai manzilon ko rakh ke apne dosh par
nahin kisi ko hosh, par

koi to ho jo kah sake
ki aazmin-e-be-jihat!

na manzilen na raste
to phir ghubar ban ke uD rahe ho kis ke waste

kisi ne kah diya to kya
nasheb mein to tez-tar hujum ka bahaw hai

pahaD ke dabaw se nasheb mein kaTaw hai
kaTaw ke safar mein kab kahan koi paDaw hai

azab-e-mushtail mein ab na nuh hai na naw hai
pata hai?

nahin faqat alaw hai
aur aag ke pahaD se gira hua alaw hai