hui phir imtihan-e-ishq ki tadbir bismillah
har ek jaanib macha kuhram-e-dar-o-gir bismillah
gali-kuchon mein bikhri shorish-e-zanjir bismillah
dar-e-zindan pe bulwae gae phir se junun wale
darida damanon wale pareshan gesuon wale
jahan mein dard-e-dil ki phir hui tauqir bismillah
hui phir imtihan-e-ishq ki tadbir bismillah
gino sab dagh dil ke hasraten shauqen nigahon ki
sar-e-dariya parastish ho rahi hai phir gunahon ki
karo yaro shumar-e-nala-e-shab-gir bismillah
sitam ki dastan kushta dilon ka majra kahiye
jo zer-e-lab na kahte the wo sab kuchh barmala kahiye
musir hai mohtasib raaz-e-shahidan-e-wafa kahiye
lagi hai harf-e-na-gufta pe ab tazir allah
sar-e-maqtal chalo be-zahmat-e-taqsir bismillah
hui phir imtihan-e-ishq ki tadbir bismillah
Nazm
Shorish-e-zanjir bismillah
Faiz Ahmad Faiz