اردو हिंदी
Shoara-e-qaum se KHitab | Shaahi Shayari
shoara-e-qaum se KHitab

Nazm

Shoara-e-qaum se KHitab

Shah Deen Humayun

;

ai shaeran-e-qaum zamana badal gaya
par misl-e-zulf-e-yar tumhaara na bal gaya

piToge kab talak sar-e-rah tum lakir ko
bijli ki tarah sanp taDap kar nikal gaya

uTTho wagarna hashr nahin hoga phir kabhi
dauDo zamana chaal qayamat ki chal gaya

ek tum ki jam gae ho jamadat ki tarah
ek wo ki goya tir kaman se nikal gaya

han han sambhaalo qaum ko shayad sambhal hi jae
gir gir ke mulk-e-hind kuchh aaKHir sambhal gaya