ab shor thama to main ne jaana
aadhi ke qarib ro chuki hai
shab gard ko ashk dho chuki hai
chadar kali KHala ki mujh par
bhaari hai misl-e-maut shahpar
hai sans ko rukne ka bahana
tasbih se TuTta hai dana
main nuqta-e-haqir aasmani
be-fasl hai be-zaman hai tu bhi
kahti hai ye falsafa-taraazi
lekin ye sansanati wusat
itni be-harf o be-murawwat
aamada-e-harb-e-la-zamani
dushman ki ajnabi nishani
Nazm
Shor thamne ke baad
Shamsur Rahman Faruqi