ek muddat hui 
dasht-e-awaz mein 
koi tanha sada 
KHamushi ki nawa 
main nahin sun saka 
gosh-e-muflis mere 
ab tarasne lage hain 
ki fitrat ki aawaz gham ho gai 
zindagi apne hangam mein kho gai 
shorish-e-gosh-o-lab 
kash ki tham sake 
tu mujhe KHud-kalami ka mauqa mile 
main taKHayyul ki aahaT sunun 
aur taKHliq ke an-sune git gane lagun 
shor-o-ghul ke taffun-zada aise mahaul mein 
ye faqat KHwab hai 
ab kahan 
wo KHalaon ke jaisa sukut-e-azal 
wo samundar ki tah ka sukun-e-abad 
is KHarabe mein ab 
saz-o-awaz ki 
maKHmali Doriyan 
KHar-o-KHashak hone lagin 
dard-e-asar hone lagin 
ek ghuTan si fazaon mein paiwast hai 
daur-e-ijad ki 
mustaqil gaDgaDahaT 
samaat ko banjar kiye ja rahi hai 
KHayalat mafluj hone lage hain 
meri ruh wahshat-zada hai 
sar-e-arsa-e-KHastagi 
KHamushi lapata hai
        Nazm
Shor-alud
Salman Sarwat

