zamin-e-sang se suraj ugane wale hath
kise KHabar thi ki us shahr mein qalam honge
jahan se parcham-e-dast-e-hunar buland hua
zamin aqida-e-farda se lala-rang hui
ufuq sitara-e-mehnat se arjmand hua
aur ab ke bar qalam bhi unhin ke sath rahe
jo apni fath ke nashshe mein chur naKHwat se
durida-damani-e-ahl-e-dil pe hanste hain
fughan-e-qafila-e-muzmahil pe hanste hain
Nazm
Shikast
Iftikhar Arif