KHabar nahin ki bala-KHana-e-salasil mein
teri hayat-e-sitam-ashna pe kya guzri
KHabar nahin ki nigar-e-sahar ki hasrat mein
tamam raat charagh-e-wafa pe kya guzri
magar wo dekh faza mein ghubar sa uTTha
wo tere surKH jawanon ke rahwar aae
nazar uTha ki wo tere watan ke mehnat-kash
gale se kohna ghulami ka tauq utar aae
ufuq pe subh-e-bahaaran ki aamad aamad hai
faza mein surKH phareron ke phul khilte hain
zamin KHanda-ba-lab hai shafiq man ki tarah
ki us ki god mein bichhDe rafiq milte hain
shikast-e-majlish-o-zindan ka waqt aa pahuncha
wo tere KHwab haqiqat mein Dhaal aae hain
nazar uTha ki tere des ki fazaon par
nai bahaar nai jannaton ke sae mein
darida-tan hai wo qahba-e-sim-o-zar jis ko
bahut sambhaal ke lae the shatiran-e-kuhan
rabab chheD ghazal-KHwan ho raqs-farma ho
ki jashn-e-nusrat-e-mehnat hai jashn-e-nusrat-e-fan
main tujh se dur sahi lekin ai rafiq mere
teri wafa ko meri jehd-e-mustaqil ka salam
tere watan ko teri arz-e-ba-hamiyyat ko
dhaDakte khaulte hindostan ke dil ka salam
Nazm
Shikast-e-zindan
Sahir Ludhianvi