main ne gul-rez bahaaron ki tamanna ki thi
mujhe afsurda nigahon ke siwa kuchh na mila
chand sahmi hui aahon ke siwa kuchh na mila
jagmagate hue taron ki tamanna ki thi
main ne mauhum umidon ki panahen DhunDin
shiddat-e-yas mein mubham sa ishaara na mila
Dagmagate hue qadmon ko sahaara na mila
hae kis dasht-e-bala-KHez mein rahen DhunDen
ab fusun-saz bahaaron se mujhe kya matlab
aaj hi meri nigahon mein wo manzar tauba
main ne dekhe hain lapakte hue nashtar tauba
KHuld bar-dosh nazaron se mujhe kya matlab
aasman nur ke naghmat se mamur sahi
main ne ghaTti hui chiKHon ke sune hain nauhe
hae wo ashk jo palkon se Dhalak bhi na sake
zindagi husn-o-jawani se abhi chur sahi
kabhi zau-pash sitaron ki tamanna thi mujhe
aaj zarron ko bhi maqsud bana rakkha hai
aaj kanTon ko kaleje se laga rakkha hai
kabhi gul-rez bahaaron ki tamanna thi mujhe
Nazm
Shikast-e-saz
Ada Jafri