wo ja raha tha
aur
main ne bas ye kaha tha
suno ziyaada der mat karna
waqt rahte palaT aana
us ne meri aankhon mein jhankte hue kaha
hum jab milenge bahaaren hongi
waqt kuchh nahin bigaDega
aaj wo palaT aaya hai
use meri siyah aankhen bahut pasand hain
magar siyah halqe nahin
aur meri aankhon ki raushni gahre halqon ke baadal ne nigal chuke hain
mathe par fikr ki tewri hai
tanhai ki dhup ne mere wajud ko jhulsa diya hai
akele-pan mein lab kaTne ki aadat ne
gulon se rangat chura li hai
waqt ka panchhi shadmani ko apne sath le uDa hai
aur wo
aankhon par nafis chashma sajae
bahaaren sath liye Table par mahw-e-intizar hai
main us tak pahunchte laDkhaDa gai hun
aur wo khaDa anjaan nazron se kah raha hai
KHatun aap ki tabiat Thik nahin lagti
kis se milna hai kya koi kho gaya hai
main bas itna hi kah saki hun
kaha tha na waqt rahte palaT aana
tum bahaar ban kar khaDe ho aur mera waqt kho gaya
Nazm
Shikast-e-arzu
Zehra Alvi