shafaq ki dulhan apne ghurfe se kab tak mujhe dekh kar muskuraati rahegi 
sunahri libaade ki zar-kar kirnen kahan tak yunhi gungunati rahengi 
kahan tak zamurrad ke parde pe ye surKH phulon ke naghme machalte rahenge 
ki aaKHir koi chand koi andhera kisi sharq-e-tira ke dar se nikal kar 
abhi us ko pahnaega tirgi ka wo jama ki us ki jawan ret umangen 
sitare uDati hui Dub jaengi maghrib ki KHamosh KHunin KHala mein 
shafaq ki dulhan jhank kar dekhti hai 
mujhe dekhti hai 
mere dil ke bujhte hue surKH shoalon ki parwaz-e-be-kar ko dekhti hai 
ki ye zindagi jo wadiat hui thi ki har samt sailab naghma baha de 
husul-e-musarrat ki KHatir har ek sang-e-KHara ko ek marmarin but bana de 
wo but jo har ek tan par muskura de har ek samt sailab-e-naghma baha de 
har ek naghma tarik raaton ke sinon ko yun gudguda de 
ki tarikiyon se wo anwar phuTin jinhen aaftab-e-sahar KHud sada de 
magar ab yahi zindagi bujh rahi hai zamane ke betab aab-e-rawan mein 
shafaq ki dulhan jhank kar dekhti hai kise dekhti hai mujhe dekhti hai 
mujhe dekhti hai to main apne ghurfe ki banhon ko milne ki takid kar dun 
ki main to usi haal mein raat-din waqt ke nur-o-zulmat mein ghulta raha hun 
mere pas koi sunahri-labaada nahin hai na koi zamurrad ke parde 
mujhe be-sabab dekhne mein hai kya ab ki main is ko hasil nahin kar sakunga 
mujhe apni din-bhar ki thak-haar kar mere pas aane wali dulhan se gharaz hai 
meri zard-ru multaji aur behis dulhan mujh ko aise kahan dekhti hai 
use us se kya bujh raha hun dama-dam dama-dam piyape piyape o dama-dam 
use aisi baaton se raghbat nahin hai 
use to gharaz us se hai thak chuki hai gharelu shab-o-roz ki uljhanon se 
ye us ka taqaza hai le jaun us ko kahin dur baadal se parbat se bhi dur 
jahan hun sunahri libaadon ki kirnen wo zar-kar kirnen ki jo gungunaen 
jahan hun zamurrad ke pardon pe KHun rang phulon ke naghme ki jo muskuraen 
jahan nelmi sard ghurfe hun ghurfe 
zara khol dun apne ghurfe ki bahen 
shafaq ki dulhan ja chuki hai har ek samt hain aasman parastaron ke aansu 
idhar aa idhar aa meri zard-ru meri behis dulhan meri aaghosh mein aa 
ki main Dar raha tha 
mujhe dekhti thi shafaq ki dulhan tere hote hue bhi mujhe dekhti thi 
mujhe ghurti thi
        Nazm
Shikayat
Yusuf Zafar

