اردو हिंदी
Shauhar ne aaj | Shaahi Shayari
shauhar ne aaj

Nazm

Shauhar ne aaj

Mohammad Yusuf Papa

;

ek aurat bahut udas malul
nel galon par

honT mein sujan
baal bikhre hue pareshan se

us ke shauhar ne aaj mara hai
log kahte hain raat ghaeb thi

daur-e-nau ke latif goshon se
na-balad wo gharib shauhar hai

biwiya,n ghar se raat ko bahar
rah sakin to ye ain izzat hai

aaj ke daur ki sharafat hai
is nae daur ki nai tahzib

shauhar-e-be-shuur kya jaane