lamha-e-nau azim hai
sozish-e-dil hai kya bala jazb-o-junun bhi kuchh nahin
sanjh samaj hech hain rishta-e-KHun bhi kuchh nahin
hasrat wa aarzu ki nai bandish wa bastagi ki lai
damdama-e-qadim hai
ahd-e-kuhan guzar gaya lamha-e-nau azim hai
aaj ka sehr be-badal aaj ki lau azim hai
itr ki ruh mein basi asr ke rup mein rachi
phuTti pau azim hai ye tag-o-dau azim hai
bahr-e-jadid auj mauj is mein guhar hain mauj mauj
sath-ba-sath sab sadaf nur ki rau azim hai
taza tarin ye jahan taza nujum wa aasman
un ki jhalak juda juda un ka jilau azim hai
aur hai is ki tab-o-tab aur hai chaal aur chhab
jo KHad-o-KHal hon so hon aaina to azim hai
lamha-e-nau azim hai
is mein riyasaton ka dhan sare nashat
sab mehan
aish ka dil-o-badan ghaarat-e-zindagi ka fan
ek baTan ka marhala
Nazm
Shash-jihat
Akhtar Usman