suno kal tumhein hum ne madras cafe mein
aubash logon ke hamrah dekha
wo sab laDkiyan bad-chalan thin jinhen tum
saliqe se kafi ke cup de rahe the
bahut fuhsh aur mubtazil nach tha wo
ki jin ke recordon ki ghaTiya dhunon par
thirakti machalti hui laDkiyon ne
tumhein apni banhon ki jannat mein rakkha
bahut dukh hua
tum ne hotel mein kamre kirae pe le kar
un aubash logon aur un laDkiyon ke hujum-e-tarab mein
gai raat tak jashn-e-sahba manaya
bahut dukh hua KHandani sharafat
buzurgon ki banki sajili wajahat ko
tum ne sar-e-am yun raund Dala
saliqa jo hota tumhein laghzishon ka
to apne buzurgon ki manind tum bhi
gharon mein kanizon se pahlu sajate
be-ishrat dil haweli mein har shab
kabhi raqs hota kabhi jam chalte
saliqa jo hota tumhein laghzishon ka
to yun KHandani sharafat wajahat
na miTTi mein milti na badnam hoti
Nazm
Sharif-zada
Zubair Rizvi