ye mai-kada hai tera aur main sharabi hun
sambhaal saqiya mina ko apne hathon mein
mujhe bhi aaj ma-e-arghawan ki hajat hai
sarak rahe hain ruKH-e-kaenat se parde
dil-o-dimagh mein ek raushni si dar aai
har ek ghunT pe kuchh zindagi ke raaz khule
muhit ho gai kaun-o-makan ki girai
magar ye jam ke andar bhi kaisi tariki
bahut hi talKH hai apna KHumar-e-baada-kashi
kahin charagh bujha jal uThe kahin fanus
wahi tazad wahi hai kashakash-e-hasti
hayat aaj kahan khinch kar mujhe lai
sambhaal saqiya mina ko apne hathon mein
hayat ke liye koi sharab hai ki nahin
bas ek bar to aisi pila de ai saqi
ki hosh aa na sake tere pine wale ko
Nazm
Sharabi
Anjum Azmi