fuzul hai
ye guftugu hai
nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen
chalo chalen
chalo chalen jahan hamein KHayal hi na aae zindagi nazar ki bhul hai
chalo chalen jahan ye dar ye dastakon pe dastaken sunai hi na de saken
jahan ye rauzan-e-zubun nigah ki miKHasamat na kar sake
jahan khuli faza khuli faza ki jaise koi kah raha ho aaiye
ye kah rahi ho aaiye khuli faza hai ye yahan to aaiye
magar khuli faza mein bhi kabhi gaDhe kabhi sitada peD kah rahe hain dekhiye
ye guftugu fuzul hai
fuzul hai
nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen
chalo chalen
jo god man ki thi wo man ki god thi
wahan har ek baat jo fuzul thi wo ek bhul thi
nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen
chalo chalen
bahan ye kah rahi thi ab to aap ghar basa hi len
main sochta tha kis ka ghar hamara ghar tumhaara ghar
aur us pe bhai bol uTha fuzul hai ye guftugu fuzul hai
nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen
chalo chalen jahan na koi taq ho na chand botalen jahan na kah saken chalo chalen
ye guftugu fuzul hai
magar wahan koi gaDha na ho na koi peD ho
wahan sukun-e-aKHiri se ja milen
magar yahan bhi taq par rakhi hain chand botalen
Nazm
Sharab
Meeraji