KHala mein ghaur se dekhun
to ek taswir banti hai
aur us taswir ka chehra
tere chehre se milta hai
wahi aankhen wahi rangat
wahi hain KHal-o-KHad sare
meri aankhon se dekhe to
tujhe is aks ke chehre pe
ek til bhi dikhai de
jo bilkul tere chehre par
saje us til ke jaisa hai
jo gahra hai bahut gahra
samundar se bhi gahra hai
ki us gahrai mein aksar
shanawar Dub jata hai
Nazm
Shanawar
Imran Shanawar