raat ke hath pe jalti hui ek sham-e-wafa
apna haq mangti hai
dur KHwabon ke jazire mein
kisi rauzan se
subh ki ek kiran jhankti hai
wo kiran darpa-e-azar hui jati hai
meri gham-KHwar hui jati hai
aao kirnon ko andheron ka kafan pahnaen
ek chamakta hua suraj sar-e-maqtal laen
tum mere pas raho
aur yahi baat kaho
aaj bhi harf-e-wafa bais-e-ruswai hai
apne qatil se meri KHub shanasai hai
Nazm
Shanasai
Akhtar Payami