اردو हिंदी
Shanasa aahaTen | Shaahi Shayari
shanasa aahaTen

Nazm

Shanasa aahaTen

Aashufta Changezi

;

idhar kai dinon se
dur dur tak bhi nind ka pata nahin

kasile kaDwe zaiqe
Tapak rahe hain aankh se

kai pahr guzar chuke
tawil kali raat ke

main sun raha hun der se
hazaron bar ki suni-sunai dastaken

kabhi shanasa aahaTen
kabhi nashili sarsarahaTen

kiwaD kholte hi
dastaken!

wo aahaTen nashili sarsarahaTen
KHiraj ruThi nind ka liye hue chali gain!