shanaKHt us ke nam se thi
jism ki bahaar se
shanaKHt aaftab se thi
zulf-e-abshaar se
shanaKHt pairahan se thi
ghazal-e-nur-bar se
shanaKHt us ke shabnami
fishaar aatishin se thi
zamin-doz aasman-sifat KHumar se
khuli hui thi dur dur tak
tabassumon ki surKH dhup
tez raushni
tamam shafqaton ki narm chandni
malaik-o-nujum
aaj sare be-murad ho gae
shanaKHten ujaD gain
sulagte baam-o-dar ke darmiyan
shumar ho rahe hain soKHta burida jism
reza reza kuchh makan
wo be-shanaKHt ho gai
wo KHwab thi
wo ek hasin nam thi
wo nam se bichhaD gai
Nazm
ShanaKHt
Balraj Komal