ai bi-bi hawwa
hum tere bachche
tujh se bichhaD ke
bashri samundar ke
pai-dar-pai thapeDon se
dur aur bhi dur ho gae hain
bhiD mein kho gae hain
tumhaare hamare
darmiyan tha jo harf-e-shirin ka qissa
wo dard-ashna lamha, wo mamta se labrez rishta
is rishte ki Dor se bandhe
hum KHalaon mein hachkole kha rahe hain
patangon ki manind
nanhe bachche ke hathon se jun
chhuT jae
ghubaron ki Dor
aur bikhar jaen jaise
aasman ki napaid bulandiyon mein sabhi
hum bhi,
un hi ghubaron ki tarah
ai bi-bi hawwa
tujh se bichhaD ke
bhaTakte rahe hain
har lamha is ulajhti bhul-bhulayyon si duniya mein
ji rahe hain
kisi taur
teri mamta ki chah mein, aas lagae
shayad
KHuda ko
hum par bhi kabhi taras aa jae
aur
naf ke is uljhe hue rishte ka sira
dobara kahin ja ke phir tujh se mil jae
shayad
phir koi duniya
kun-fa-yakun se
KHalq ho jae!
jahan bagh-e-bahisht ke makin hon
aur hum hon
jahan iblis ka na ho guzar
jahan shaitan ka na Dar ho
jahan amn-o-ashti ho tamam!
ai kash!
apna bhi aisa ghar ho
shajar-e-mamnua se pare
Nazm
Shajar-e-mamnua se pare
Perwaiz Shaharyar