uTTho mere mahbub muridon ko jaga do
fankar ko iblis ka paigham suna do
jis mulk mein yaron ko mayassar na ho wine
us mulk ka har KHosha-e-angur jala do
garmao adibon ka lahu whiskey o rum se
shaer koi mil jae to Tharra hi pila do
leader jo nazar aae to bolo ye adab se
taqrir mein tum garmi-e-whiskey se jila do
paper ke editor se agar kaam ho lena
chup-chap se office mein beer us ko pila do
har bazm mein angur ki beTi ko bulao
mulla se andhere mein gale us ko laga do
shaer koi mahfil mein agar pi ke na aae
wo paDh na sake apni ghazal shor macha do
arbab-e-tadabbur jo hain aulad hamari
in ko mera har falsafa-e-zist sikha do
ehsas-e-hamiyyat na rahe dil mein kisi ke
petrol chhiDak kar his-e-ghairat ko jala do
us shaer-e-gustaKH ko 'asrar'-e-suKHan ko
is nazm ki taKHliq pe phansi ki saza do
Nazm
Shaitan ka farman
Asrar jaamayee