sochta hun main
tumhaare zer-e-lab harf-e-suKHan mein
koi afsana hai muzmar ya haqiqat ya fareb-e-puKHta-karan
main nazar rakhta hun tum par
aur tumhaari aankh hai paiham taaqub mein kisi ek ajnabi ke
ajnabi jo KHud hirasan aur pareshan-haal hai
dusri jaanib saDak par der se ek aur shaKHs
jhuT ko sach kah ke jo elan karta phir raha hai
dil hi dil mein Dar raha hai
uDte jate hain sabhi chehron ke rang
gaThriyan apni sameTe
shahr se bahar nikalte raston par har koi hai gamzan
is be-e'tibari aagahi ke darmiyan
ek asa-bardar kuchh kahta hua
jis ka ek ek lafz paiwasta hai
yun ek dusre se
jis tarah nazdik tar aate hue qadmon ki chap
Nazm
Shahr se bahar nikalte raste
Shaheen Gazipuri