kabhi kabhi dil ye sochta hai
na jaane hum be-yaqin logon ko nam-e-haidar se rabt kyun hai
hakim jaane wo kaisi hikmat se aashna tha
shajia jaane ki badar o KHaibar ki fath-mandi ka raaz kya tha
alim jaane wo ilm ke kaun se safinon ka na-KHuda tha
mujhe to bas sirf ye KHabar hai
wo mere maula ki KHushbuon mein racha-basa tha
wo un ke daman-e-atifat mein pala baDha tha
aur us ke din raat mere aaqa ke chashm o abro o jumbish-e-lab ke muntazir the
wo raat ko dushmanon ke narghe mein so raha tha to un ki KHatir
jidal mein sar se panw tak surKH ho raha tha to un ki KHatir
so us ko mahbub jaanta hun
so us ko maqsud manta hun
saadaten us ke nam se hain
mohabbaten us ke nam se hain
mohabbaton ke sabhi gharanon ki nisbaten us ke nam se hain
Nazm
Shahr ilm ke darwaze par
Iftikhar Arif