اردو हिंदी
Shahr-e-zulmat ko sabaat nahin | Shaahi Shayari
shahr-e-zulmat ko sabaat nahin

Nazm

Shahr-e-zulmat ko sabaat nahin

Habib Jalib

;

ai nizam-e-kohan ke farzando
ai shab-e-tar ke jigar-bando

ye shab-e-tar jawedan to nahin
ye shab-e-tar jaane wali hai

ta-ba-kai tirgi ke afsane
subh-e-nau muskurane wali hai

ai shab-e-tar ke jigar-gosho
ai sahr-dushmano sitam-gosho

subh ka aaftab chamkega
TuT jaega jahl ka jadu

phail jaegi in dayaron mein
ilm-o-danish ki raushni har-su

ai shab-e-tar ke nigahbano
sham-e-ahd-e-ziyan ke parwano

shahr-e-zulmat ke sana-KHwano
shahr-e-zulmat ko sabaat nahin

aur kuchh der subh par hans lo
aur kuchh der koi baat nahin