mere is shahr ki raunaq
basen rickshaw Tramen motaren
aur aadmi sailab ke manind
saDken hamhamati shor hangama tag-o-dau
waqt ki gardish mein subh-o-sham ka mamul hai
mere is shahr ki raunaq
school na-ashna lamhe adhuri KHwahish
KHwabon ke virane
andhere shab ke afsane
mere is shahr ki raunaq
hasin bazar raunaq dukanen dilruba chehre
shagufta konplen aasuda jalwe
karb ki lahren
ye kaisi karb ki lahren hain yarab
shahr-e-KHuban shahr-e-maqtal ban gaya hai
aur zinda aadmi
qatl-gah-e-rah-guzar par
rikshon bason caron ke shor-e-garan mein
nim-jaan behaal murda
kho chuka hai
e'tibar-e-zindagi
Nazm
Shahr-e-KHuban shahr-e-maqtal
Sahba lakhnavi