mujhe shahr-e-jaan mein kahan tum miloge
yahan to zamistan ki yaKH-bastagi hai
daron aur darichon
gharon ki fasilon par kai jami hai
hawa apne hathon mein KHanjar uThae
gali mein khaDi dastaken de rahi hai
main sahma hua ye sada sun raha hun
meri haDDiyon ke nihan mabadon mein
kahin aag ka ek sharara nahin hai
charaghon ki sari lawen bujh gai hain
andhere ka koi kinara nahin hai
magar hum milenge
hawaon mein jab taza rut ke shagufe khilenge
parindon ki chahkar
patton ke jhurmuT se bahar nikal kar
nae mausamon ka swagat karegi
to hum tum milenge
magar shahr-e-jaan ki fasilon se bahar milenge
Nazm
Shahr-e-jaan ki fasilon se bahar
Gulam jilani Asghar