dast-e-shafqat kaTa aur hawa mein muallaq hua
aankh jhapki to palkon pe Thahri hui KHwahishen dhul mein aT gain
shahr-e-bina ki saDkon pe na-bina chalne lage
ek nadida talwar dil mein utarne lagi
panw ki dhul zanjir ban kar chhanakne lagi aur qadam sabz-ru KHak se KHauf khane lage
zehn mein ajnabi sarzamin ke KHayalat aane lage
sare na-bina ek dusre ka sahaara bane
sar pe kanTon bhara taj aur hath mein motiye ki chhaDi tham kar
dur se aane wali sada ke taaqub mein yun chal paDe
jaise un ka masiha isi samt ho
jaise un ke masiha ki aankhon mein sirf un ki taswir ho
jaise un ke KHayalon mein khilti zamin un ki jagir ho
Nazm
Shahr-e-bina ke log
Ejaz Rizvi