ye tez dhup ye kandhon pe jagta suraj
zamin buland hai utni ki aasman ki raqib
wo raushni hai wo bedariyan ki sae na KHwab
bas ek hosh bas ek aagahi bas ek ehsas
aur un ke nur se jalte badan pighalte badan
badan hain kholte sayyal aaine har-su
har aan bahte sada rahtin badalte badan
dimagh dur se un ka nazara karta hai
aur un ke karb ke izhaar se sanwarta hai
wo raushni hai ki az-fard taba fard tamam
kisi ki shakl na surat kisi ka rang na rup
tamam anfus-o-afaq gum hain aapas mein
hain fard fard ki parchhaiyan bhi dhup hi dhup
sab apne ilm ka jadu-e-samri le kar
hazar aankhon se ek dusre ko dekhte hain
rawan dawan hain sab ek dusre ki ruhon mein
aur itna jaan chuke hain sab ek dusre ko
kuchh itni dur nikal aae hain sab apne se
ki dil ke rishton ko ab manta nahin koi
kisi ko apne siwa jaanta nahin koi
Nazm
Shahr-e-ana mein
Shahab Jafri