اردو हिंदी
Shahr-e-ashob | Shaahi Shayari
shahr-e-ashob

Nazm

Shahr-e-ashob

Zia Jalandhari

;

wahi sada jo mere KHun mein sarsaraati thi
wo saya saya hai ab har kisi ki aankhon mein

ye sarsarahaTen sanpon ki siTiyon ki tarah
siyahiyon ke samundar ki tah se mauj-ba-mauj

hamari bikhri safon ki taraf lapakti hain
badan hain barf, ragen rahguzar-e-reg-e-rawan

kai to sahm ke chup ho gae hain surat-e-sang
jo bach gae hain wo ek dusre ki gardan par

jhapaT paDe hain misal-e-sagan-e-awara
hawa guzarti hai sunsan siskiyon ki tarah

sada-e-dard jo mere lahu mein larzan thi
jhalak rahi hai wo ab be-shumar aankhon mein

labon pe sukh gai harf-e-shauq ki shabnam
kisi mein taqat-e-guftar agar kahin hai bhi

to lafz aate hain honTon pe hichkiyon ki tarah
tarashiye to kai pattharon ke sinon mein

shajar ki shaKHon ke manind naqsh phaile hain
par un ke reshon mein zauq-e-numu nahin malta

koi nafeer ki jis ki nawa-e-hosh-nawaz
dilon se dur kare sarsarahaTon ka tilism

koi umid ka paigham koi pyar ka ism
wo KHwab-e-parwarish-e-jaan ki jis pe sadqe hon jism