koi batae kahan shahr-e-arzu hoga
ki jis maqam pe daman ke chaak silte hain
nai hayat nai subh-o-sham milte hain
udas udas hain raaten udas udas hain din
kaTegi rah koi dastan sunate chalo
hikayat-e-but-e-lala-o-shan sunate chalo
kisi ki zud-pashiman nigahiyon ka tilism
kisi KHarab nigah-e-karam ka zikr karo
wafa-e-wada-o-qaul-o-qasam ka zikr karo
har ek aabla-pa aur sar-e-junun-pesha
dilon ke kabe mein patthar sajae phirta hai
ufuq ufuq pe nigahen jamae phirta hai
udas ham-safaro su-e-dil bhi ek nazar
uchhal raha hai baDi der se lahu apna
yahin kahin na mile shahr-e-arzu apna
Nazm
Shahr-e-arzu
Hameed Almas