اردو हिंदी
Shahr aur main | Shaahi Shayari
shahr aur main

Nazm

Shahr aur main

Chandrabhan Khayal

;

dil pahaDon par chala jae ki maidanon mein ho
bhiD mein logon ki ya KHali shabistanon mein ho

shor phir bhi tez tufanon ki surat har ghaDi
toDta rahta hai KHalwat-KHwah sinon ka jumud

reza reza ho gae meri tarah kitne wajud
ab nahin mumkin kisi sahra mein majnun ka warud

na-tawan shaKHsiyaten barqi tawanai liye
raat ke kale badan ko chaT kar hain mutmain

jal raha hai har shajar is shahr ka ab raat din
uD rahe hain hath se toton ki surat sal-o-sin

raushni ka rang jaise kuchh samajh aata nahin
shahr ki tahzib ka ruKH kis taraf hai kya pata

aadmi sada hai ya KHanjar-ba-kaf hai kya pata
kis liye ye shor-e-mohmal saf-ba-saf hai kya pata

main ne har andaz se samjha hai sare shahr ko
shahr jo KHwabon ke jangal ke siwa kuchh bhi nahin

umr sari chhin kar jis ne diya kuchh bhi nahin
jaise mere waste baqi raha kuchh bhi nahin

apne galon par tamancha jaD ke KHush ho jaun mein
aaj raushan qumqumon ke beach jaga ye shuur

yun to har mausam ke chehre par numayan hain sutur
ek parinda tak nahin lekin hawa mein dur dur

machhliyan chhat par sikhane ke liye jab KHwahishen
siDhiyon par panw rakhti hain to aa jati hai chil

Thonk di jaegi ab shayad sabhi zehnon mein kil
uTh rahi hai har taraf jalte andheron ki fasil

gerua kapDon mein lipTa zard mustaqbil mujhe
mashwara deta rahega aur main mar jaunga