اردو हिंदी
Shahr | Shaahi Shayari
shahr

Nazm

Shahr

Ain Rashid

;

shahr tu apne gande panw pasare dariya ke kinare leTa hai
aur tere sine par rengti hui chyunTiyan suraj ko ghur rahi hain

jab nisf darjan ghair-mulki hakimon ne mushtarka taur par ailan kiya
maraz sangin hai aur ye bahut jald hi mar jaega

to kisi chechak-zada bachche ki tarah tu ne unhen dekha aur KHamosh ho raha
ghaliz badkar be-rahm

shahr log kahte hain tu badkar hai
aur main ne KHud dekha hai

sar-e-sham
tere range chehre wali aurten laDkhaDate nau-jawanon ko nigal jati hain

be-rahm
jab raat gae tere danish-war rickshaw kiye KHud-kushi karne jate hain

tu KHamosh rahta hai
shahr main teri diwana-kun KHwahishon se be-zar hun

shahr tu apne gande libas kab utarega
shahr log kahte hain marne ke baad meri haDDi se button banaenge

shahr teri diwaron par ye kaisi tahriren hain
shahr main ne mahinon se aKHbar nahin paDha

shahr tu chae mein shakar Dalna bhul gaya hai
aur ye tere aansuon ki tarah lag rahi hai

shahr mujhe nind aa rahi hai thapak kar sula de