mushtahar maut ki aarzu ne use
muztarib kar diya is qadar ek din
wo salibon ke aadad par roz-o-shab
ghaur karne laga
imtihan ke liye dasht ko chal diya
apne hisse ki jab muntaKHab kar chuka
us ne tariKH ke zard aur ek par
nam apna KHushi se raqam kar diya
ek par us ka sar
dusri par jigar
teri par laTakta hua us ka jazbon se mamur dil
us ki aanten yahan
us ki phanken yahan
us ki apni salib aaj koi nahin
zard auraq se miT gae sab nishan
dasht mein dur tak chiKHti aandhiyan
KHatm us ki hui mushtahar dastan
Nazm
Shahid
Balraj Komal