اردو हिंदी
Shahid bhagat-singh | Shaahi Shayari
shahid bhagat-singh

Nazm

Shahid bhagat-singh

Tilok Chand Mahroom

;

zindan mein shahidon ka wo sardar aaya
shaida-e-watan paikar-e-isar aaya

hai dar-o-rasan ki sarfaraazi ka din
sardar bhagat-singh sardar aaya

ta-dar-o-rasan shauq se iThla ke gaya
to shan-e-shahadat apni dikhla ke gaya

TukDe hota hai dil tere matam mein
lashe ka ang ang kaTwa ke gaya

pi kar mai-e-shauq jhumna wo tera
be-parwayana ghumna wo tera

hai naqsh tere ahl-e-watan ke dil par
phansi ki rasan ko chumna wo tera

jam-e-hubb-e-watan ke ai matwale
ai paikar-e-namus hamiyyat wale

ho aalam-e-arwah mein shadan ki nahin
ab tere watan mein wo hukumat wale