is daur ke hain qissa-go 
hum shahr-zadon ki suno 
ye dastan-e-zist hai 
kuchh KHwab ki tabir hai 
kuchh dard ki tamsil hai 
aaindagan ka shahr ya hai raftagan ki aarzu 
ek gahma-gahmi ku-ba-ku phaili hui hai chaar-su 
ijad-dar-ijad hoti KHwahishen aur justuju 
har samt mein baDhta hua ye kar-zar-e-rang-o-bu 
aasaishon ke is ghane jangal mein tanha main ki tu 
hum mashal-e-ashufta lau 
hum shahr-zadon ki suno 
aur aasman se baaten kartin un fasilon ka ye jal 
is jal mein mahbus hoti roz-o-shab ye zindagi 
is zindagi se munqalib hoti hui waraftagi 
har aan hai koi KHalish har pal ki jaise tishnagi 
har haal mein phir bhi muqaddam kawish-e-asudgi 
hum aasman ke rah-rau 
hum shahr-zadon ki suno 
is kucha-o-bazar mein ajnas ke ambar hain 
fitrat se koson dur hain ye jo bhi karobar hain 
is dauD mein sab log hi paiham subuk-raftar hain 
apni mashini zindagi hum aadmi bezar hain 
lekin hamare hausle is daur ke meamar hain 
hum se mili taron ko zau 
hum shahr-zadon ki suno 
hai KHud-faramoshi pe ghaalib KHud-farebi ki chubhan 
takrar se tabir hain ye zindagi ke mah-o-san 
yaksaniyat ke dasht mein khulta hai nudrat ka chaman 
mayus jazbon se idhar kuchh kar dikhane ki lagan 
bim-o-raja ke darmiyan hum shahr-zade hain magan 
hum shahr-zadon ki suno 
hum raqim-e-tariKH-e-nau
        Nazm
Shahar-zade
Salman Sarwat

