aasman ki god mein dam toDta hai tifl-e-abr
jam raha hai abr ke honTon pe KHun-alud kaf
bujhte bujhte bujh gai hai arsh ke hujron mein aag
dhire dhire bichh rahi hai matami taron ki saf
ai saba shayad tere ham-rah ye KHun-nak sham
sar jhukae ja rahi hai shahr-e-yaran ki taraf
shahr-e-yaran jis mein is dam DhunDhti phirti hai maut
sher-dil banko mein apne tir-o-nashtar ke hadaf
ek taraf bajti hain josh-e-zist ki shahnaiyan
ek taraf chinghaDte hain ahrman ke tabl-o-daf
ja ke kahna ai saba baad-az-salam-e-dosti
aaj shab jis dam guzar ho shahr-e-yaran ki taraf
dasht-e-shab mein is ghaDi chup-chap hai shayad rawan
saqi-e-subh-e-tarab naghma-ba-lab saghar-ba-kaf
wo pahunch jae to hogi phir se barpa anjuman
aur tartib-e-maqam-o-mansab-o-jah-o-sharaf
Nazm
Shahar-e-yaran
Faiz Ahmad Faiz