tumhein jab dekhta hun
to meri aankhon pe rangon ki phuwaren paDne lagti hain
tumhein sunta hun
to mujh ko qadimi mandiron se ghanTiyon aur masjidon se wird ki aawaz aati hai
tumhaara nam leta hun
to sadiyon qabl ke lakhon sahifon ke muqaddas lafz mera sath dete hain
tumhein chhu lun
to duniya-bhar ke resham ka mulaem-pan meri poron ko aa kar gudgudata hai
tumhein gar chum lun
to mere honTon par uluhi aasmani na-chashida zaiqe yun phail jate hain
ki us ke baad mujh ko shahd bhi phika sa lagta hai
tumhein jab yaad karta hun
to har har yaad ke sadqe mein ashkon ke parinde chum kar aazad karta hun
tumhein hansti hui sun lun
to saton sur samaat mein sama kar raqs karte hain
kabhi tum ruThti ho
to meri sansen aTakne aur dhaDkan thamne lagti hai
tumhaare aur apne ishq ki har kaifiyat se aashna hun main
magar jaanan
tumhein bilkul bhula dene ki jaane kaifiyat kya hai
mujhe mahsus hota hai
ki marg-e-zat ke ehsas se bhar jaunga fauran
tumhein main bhulna chahunga to mar jaunga fauran
Nazm
Shahar-bano ke liye ek nazm
Rehman Faris