hamein tum muskurahaT do
tumhein hum khilkhilate roz o shab denge
ye kaise ho
ki tum bauchhaD do
to hum tumhein jal-thal na de den
aur sahraon ko farsh-e-ab na kar den
hamara dhyan rakho tum
tumhein duniya mein rakhenge hum apni aarzuon ki
ye kaise ho
ki tum socha karo
aur hum tumhaari soch ko tajsim na kar den
murawwaj chahaton ke
be-lachak aain mein tarmim na kar den
tumhein ye bhi batate hain
agar koi KHalish hai ya koi ibham hai dil mein
to phir aage nahin baDhna
ki hum shaffaf hain
shaffafiyan hi chahte hain
be-nazar shishon mein apne aks ko maila nahin karte
tumhein ye bhi batate hain
agar tum chhab dikha ke chhup gae
to hum tumhein DhunDenge chahe aap kho jaen
agar tum kahkashan maskan banaoge
to hum bhi raushni-zade hain
suraj ke pujari hain
hum aise sab sitare toD dete hain
jo hum se raushni ki bhik bhi lete hain
aankhon mein bhi chubhte hain
agar patal mein chhupne ki koshish ki
to phir ai sim-tan!
dharti hamare waste sona ugalti hai
bhala chandi kahan is mein Thaharti hai
hamari rah mein
shisha-numa pani ki jhilen mat bichhana tum
ye kankar phenk kar hi faisla hoga
ki us pahnai mein kashti utarti hai
ya phir hum panw dharte hain
magar aisa na karna tum
ki hum aisa hi karte hain
Nazm
Shaffafiyan
Waheed Ahmad