abhi langar nahin Dala
tikoni baadban ki rassiyan Dhili nahin kin
abhi mastul apne panw ke upar khaDa hai
safine ke bhare sine mein
sanson ka zaKHira sarsaraata hai
abhi hum naqidana fasle se
ajnabi sahil ke tewar dekhte hain
khujuron ke daraKHton mein chhupi sargoshiyan sunne ki KHatir
hum ne apne kan zinda kar diye hain
pahaDi mein sarakte
tir-andazon ke karobar pe aankhen laga di hain
hamein
tum apne sahil par
pazirai ke kis andaz ke qabil samajhte ho
ye tum par hai
agar tum tir chhoDoge
to hum ne apni aankhon ke siwa
sara badan pighle hue lohe ke pani mein Duboya hai
hamara hath
tarkash ke khule munh par dhara hai
kaman ki KHushk aur akDi zaban to
muddaton se tir chakhne ke liye bechain hai
tumhein ye ilm hona chahiye
ki hum jab apne tir pe
dushman ki baen aankh likhte hain
to baen aankh hoti hai
kabhi abru nahin hota
ye tum par hai
agar tum hum ko sine se lagane ke liye
sahil pe aa kar apne bazu khol doge
to hum bhi
phaDphaDate baadban ki rassiyon ko khol denge
agar tum tir andazon ki Toli ko pahaDi se utaroge
to hum bhi
jism se lipTa hua loha gira denge
tumhaare har amal ko hum
baDi iman-dari se, baDe insaf se radd-e-amal denge
tumhein ye ilm hona chahiye
ki aankh ke badle mein aankh
aur dil ke badle dil hamara zabta hai
tumhaara husn-e-zan hai
soch ke har zawiye se sochna
ki hum jo pani par khaDe hain
kis pazirai ke qabil hain
magar kuchh bhi karo
madd-e-nazar rakhna ki hum madd-e-muqabil hain
Nazm
Shaffafiyan(2)
Waheed Ahmad