ye aae din ke hangame
ye jab dekho safar karna
yahan jaana wahan jaana
ise milna use milna
hamare sare lamhe
aise lagte hain
ki jaise train ke chalne se pahle
railway-station par
jaldi jaldi apne Dabbe DhunDte
koi musafir hon
jinhen kab sans bhi lene ki mohlat hai
kabhi lagta hai
tum ko mujh se mujh ko tum se milne ka
KHayal aae
kahan itni bhi fursat hai
magar jab sang-dil duniya mera dil toDti hai to
koi ummid chalte chalte
jab munh moDti hai to
kabhi koi KHushi ka phul
jab is dil mein khilta hai
kabhi jab mujh ko apne zehn se
koi KHayal inam milta hai
kabhi jab ek tamanna puri hone se
ye dil KHali sa hota hai
kabhi jab dard aa ke palkon pe moti pirota hai
to ye ehsas hota hai
KHushi ho gham ho hairat ho
koi jazba ho
is mein jab kahin ek moD aae to
wahan pal bhar ko
sari duniya pichhe chhuT jati hai
wahan pal bhar ko
is kaTh-putli jaisi zindagi ki
Dori TuT jati hai
mujhe us moD par
bas ek tumhaari hi zarurat hai
magar ye zindagi ki KHubsurat ek haqiqat hai
ki meri rah mein jab aisa koi moD aaya hai
to har us moD par main ne
tumhein ham-rah paya hai
Nazm
Shabana
Javed Akhtar