jab ban siyah raat ke taron se bhar gae
kunj-e-chaman mein chamke shagufe nae nae
mujh ko hawa ne baat sujhai ajib si
baadal mein ek shakl dikhai ajib si
chand aasman ki sej pe soya hua mila
rang-e-gul-e-anar mein luthDa hua mila
ai aashiqan-e-husn-e-azal ghaur se suno
main barg-e-be-nawa to nahin hun ki chup rahun
dil ke kisi bhi shole ko uryan na kar sakun
main tegh hath mein liye su-e-falak gaya
jazbon ke ras se mahke hue chand tak gaya
kafi tha ek war meri tegh-e-tez ka
mahtab ke badan se lahu phuT kar baha
Nazm
Shab-KHun
Muneer Niyazi