اردو हिंदी
Shab-e-zulmat | Shaahi Shayari
shab-e-zulmat

Nazm

Shab-e-zulmat

Akhlaq Ahmad Ahan

;

hijr ki raat guzarti hi nahin
kab talak bazm pe tariki rahe

kab talak shumi qismat ka gala
kab talak dard ke baDhne ki fughan

kab talak be-kasi ka shikwa rahe
kab talak bebasi ka nala rahe

kab talak hongi rawan haalaten ye
kab talak chhai rahen zulmaten ye

nur uThta hai magar kya kijiye
zulm ki kali ghaTa chaar-su hai