اردو हिंदी
Shab-e-tanhai | Shaahi Shayari
shab-e-tanhai

Nazm

Shab-e-tanhai

Shaista Mufti

;

sans roke hue is shahr se guzri hai hawa
kuchh to kahti hai faza raat ke diwanon se

KHali saDkon pe bahut shor hai sannaTe ka
git likkhe hain KHamoshi ki madhur tanon se

mere ahbab mujhe kahte hain ai jaan-e-aziz
tu yahan tanha andheron se ulajhta kya hai

shahr mein saf si bichhi hai bujhe angaron par
tu faqat rakh ke ambar ko takta kya hai

aao hum mil ke manaen shab-e-KHamoshi ko
bujh gaya dil to hua kya abhi binai hai

KHali nazron se taken TuTe hue taron ko
apne KHwabon pe pasheman shab-e-tanhai hai

sans roke hue is shahr se guzri hai hawa