tujhe yaad hai sabhi jaan-ba-lab tere raston mein khaDe rahe
ki dam-e-widaa tujhe dekh len
kahin jholiyan thin khuli hui
kahin chashm chashm ajib rangon ka raqs tha
koi KHwab tha koi aks tha
tujhe yaad hai to bata mujhe
pas-e-sham-e-shahr hawa-e-dahr ko kya hua
shab-e-hijr koi kahan gaya
main uTha jo bistar-e-KHwab se
to koi na tha mere chaar-su
jo bata sake
jo gawah ho
sar-e-baam kis ki nazar bujhi
pas-e-sham kis ka lahu jala
Nazm
Shab-e-hijr koi kahan gaya
Mumtaz Kanwal