sun
dariya apni muTThi khol raha hai
sun
kuchh patte aur patton ke sath kuchh hawa ukhaD gai hai
jangal ke peD irade
zamin ko bosa de rahe hain
chahte hain dariya ko muTThi ka jal lagaen
aankhen manzar tah karti ja rahi hain
samundar miTTi ko chaukor kar nahin pa rahe sun
gali lai pe funkar rahi hai
is mein jale hue kapDe phenk
zine galiyon mein dhanse ja rahe hain
jismon se aankhen bandh di gai hain
bahte sitare tujhe aks kar rahe hain
tere pas koi chehra nahin
bata
jangal se lauTne walon ke pas
mere lafz the ya murat
kai janm baad baat dohrai hai
meri baat mein jal mat laga meri baat bata
bata
bojhal sae pe kitna wazn rakha gaya tha
sun
maut ki chadar tumhaari aankhen napna chahti hai
kanche is chadar ko chhed chhed kar denge
chadar mein pahle hi si kar lai thi
kya paimana zang-alud tha
ye chadar tumhein miTTi se dur rakhegi
aisi had aisi had se mera wajud inkar karta hai
tumhaara wajud to parinde raT chuke
tumhaari zaban kahin tumhaari muhtaj to nahin
mere aaza par e'tibar kar
main hairaton ka inkar hun
muKHtalif rang ke charagh
aur paniyon ki zabanen
aadmi insan hone chala tha ki kuan sukh gaya
kya aadmi ne kunen mein nafrat phenk di thi
nahin
wo sada gumbad ko toDti hui
thoDa sa aasman bhi toD lai thi
chadar aur aawaz ko tah kar ke rakh do
lauTne tak meri aawaz dharti pe gunjti rahe
jaise jaise tum jaoge
KHatm hote jaoge
tum do aankhen rakhna magar fasle ko bedar mat karna
aaankhon ki Tik-Tik sara jangal jaanta hai
tum KHamosh rahna
aur han zaban ka ilm apne sath lete jao
tum peDon aur chiDiyon ki guftugu sunna
aabshaaron ke war sahna
main ye TukDa aasman ko rangne ja rahi hun
ruKHsat ho rahi ho
aane ka wada hai
wade chaukhaT ghaDiyan joD joD kar banae gae hain
wade ko khaDaun mat pahnao
chap ka iqrar dekh mere qadam ki rakhwali karti hai
main apne charagh ki lau se
tumhaari jhonpaDi bandhe jati hun
lo aur ye jhonpaDi
jis waqt apna apna dam toD den
to samajh lena
main koi zinda nahin rahi hongi
diya tarikiyon ko chaukanna rakhega
sans tap chuke
aur miTTi mujhe bula rahi hai
achchha charagh aur chadar ko bandh do
hairat hai
tum haqiqat ki tisri shakl nahin dekhna chahte
aag ko kuze mein band kar do
aur
ye raha charagh aur chadar
ye to rakh hai
ye rakh nahin mere safar ki gawahi hai
Nazm
Shayad miTTi mujhe phir pukare
Sara Shagufta