phir kya hua
phir yun hua
ki us ki ek aankh se chamgadaD ne chhalang lagai
aur ek aankh se phaDphaData hua KHar-e-pusht nikla
phir jo wo ek dusre par jhapTe hain
to aise jhapTe
ki munDeren kabutaron se
aur kiyariyan gulabon se
bhar gain
us din ke baad hum ne madari ko kabhi nahin dekha
achchha ab tum
mere liye pan laga do
aur achchhe KHwabon pe dhyan jama ke
so jao
Nazm
Shayad gulab shayad kabutar
Rais Farogh